Ishq kiya humne unse bepanah

Kya pata tha humko kya hoga anjaam

Hum toh unki ek jhalak se hi khush ho jate

Aur wo humein dekh kar bhi andekha kar jaate

Phir bhi dil ko behla lete hum

Pehle pyaar se bhala kaisa hoga gham?

Baat karte the humse jab yuhi do chaar

Dil ki dhadkane utha leti raftaar

Wo na jaane humein kitna tha aitbaar

Unhe dekhe bina jata humara din bekaar

Unke chehre ki ek hasi dekhne ke liye rehta tha dil bekaraar

Poore din yaad rehti unki kahi huyi koi baat

Sab kehte the ” itna mat pyaar kar usse”

“Tu toot jaegi jo wo chala gaya”

Haasil karna hi pyaar hi nahi hota

Mai kehti rehti sabko baar baar

Wo bhi mujhe pyaar kare, ye nahi chaahti main

Bas yaad rakhe apni yaadon mein , yehi duaa karti main

Aaj kismat ne door kar diya hai itna

Kuch nahi kar sakti main kyuki faasla hai itna

Dukh toh hota hai , Dil bhi rota hai

Aur mujhse kehta hai, “Pagli, yehi toh ek tarfa pyaar hota hai ”

Wo jaisa bhi tha, yaad rahega mujhe aakhri saas tak wo

Wo jaisa bhi tha, yaad rahega mujhe aakhri saas tak wo

Aakhir pehla pyaar hai meri zindagi ka wo

Aakhir pehla pyar hai meri zindagi ka wo

31 thoughts on “Ek Tarfa Pyaar

  1. Same pinch (with gender of words swapped).

    “Wo dhadkan wali line padke aaj fir se dhadkane tez ho gayi ek baar,
    aisa abhi bhi hai mera ek tarfa pyaar..”

    Liked by 1 person

Leave a comment